Yun Hi Besabab Na Phira Karo Lyrics | यूँ ही बेसबब न फिरा करो लिरिक्स
Full Ghazal song Yun Hi Besabab Na Phira Karo Lyrics In English Hindi यूँ ही बेसबब न फिरा करो लिरिक्स इन हिंदी Bashir Badr Behtreen Ghazal Song Lyrics – यूं ही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके चुपके पढ़ा करो…. Ye khizaan ki zard si shaal mein Jo udaas ped ke paas hai Ye tumhaare ghar ki bahaar hai Inhein aansuon se hara karo.
Yun Hi Besabab Na Phira Karo Lyrics In Hindi | यूँ ही बेसबब न फिरा करो लिरिक्स
यूं ही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके चुपके पढ़ा करो
कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो
अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो
मुझे इश्तिहार सी लगती हैं ये मोहब्बतों की कहानियाँ
जो कहा नहीं वो सुना करो जो सुना नहीं वो कहा करो
कभी हुस्न-ए-पर्दा-नशीं भी हो ज़रा आशिक़ाना लिबास में
जो मैं बन सँवर के कहीं चलूँ मिरे साथ तुम भी चला करो
नहीं बे-हिजाब वो चाँद सा कि नज़र का कोई असर न हो
उसे इतनी गर्मी-ए-शौक़ से बड़ी देर तक न तका करो
ये ख़िज़ाँ की ज़र्द सी शाल में जो उदास पेड़ के पास है
ये तुम्हारे घर की बहार है उसे आँसुओं से हरा करो
Yun Hi Besabab Na Phira Karo Lyrics In English | Yun Hi Besabab Na Phira Karo Lyrics Bashir Badr
Yun hi besabab na phira karo
Koi shaam ghar bhi raha karo
Wo ghazal ki sachchi kitaab hai
Use chupke chupke padha karo
Koi haath bhi na milayga
Jo gale miloge tapaak se
Ye naye mizaaj ka shehar hai
Zara faasle se mila karo
Abhi raah mein kayi mod hain
Koi aayga koi jaayga
Tumhe jisne dil se bhula diya
Use bhulne ki dua karo
Mujhe ishtihaar si lagti hain
Ye mohabbat ki kahaaniyaan
Jo kaha nahi wo suna karo
Jo suna nahi wo kaha karo
Kabhi husn-e-parda haseen bhi ho
Zara aashiqana libas mein
Jo main ban savar ke kahin chalun
Mere saath tum bhi chala karo
Nahi behijaab wo chand sa
Ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se
Badi der tak na taka karo
Ye khizaan ki zard si shaal mein
Jo udaas ped ke paas hai
Ye tumhaare ghar ki bahaar hai
Inhein aansuon se hara karo